Sunday, August 26, 2007

Cigar aur Beer

smoke cigar
go to the bar
drive ferrari car
Doston se lo udhar
becho ghar dwar
par piyo shauk se cigar...

pite pite mar jaana hai
mummy papa ki dant khana hai
par ciggarette ko jaroor jalana hai
aur doston mein dhuan udana hai
har puff ke saath udaenge zindagi
har shot ke saath lutaenge zindagi
yehi to hai mazza zindagi ka
yehi ek jazza zindagi ka.............

phir ek din us dhuen mein ham
dheere dheere ho jayenge kam
mummy ki ankhein hongi nam
lete hue aakhri dam....
kahenge sab se......

kitna kuch karna tha...
abhi to nahi marna tha...
par dhuen mein udayi zindagi..
botal mein sadayi zindagi...
lekin bhagwaan ne nahi badhayi zindagi...

A poem in Hinglish....a mixture of hindi and english.....not tongue in cheek humour but an attempt at the same.....written to make those ignorant fools aware of their folly..

No comments:

Post a Comment